Swiggy Par Business Kaise Kare in 2022?
Advertisement
Swiggy Par Business Kaise Kare? : Agar Aap Ghar Par Akele Ho Yaa Aapko Khana Banana Nahi Aata Ya Aap Kahi Jaana Nahi Chahte To Aap Swiggy/Zomato Jaisi App Ki Madad Se Bahut Easily Apne Ghar Par Khana Mangwa Ke Kha Sakte Hai.
Swiggy Indian Based Online Food Delivery App Hai Jise 2014 Me Found Kiya Gaya Tha Aur Ab Tak Swiggy Pure India Ke 500+ Se Jyda Cities Me Expand Kar Chuka Hai. Par Kya Aap Jaante Hai Ki Aap Swiggy Par Apna Business Bhi Kar Sakte Hai.
Agar Aap Bhi Swiggy Par Apna Business Karke Paise Kamana Chahte Ho To Aage Iski Puri Jaankari Di Hui Hai.

Swiggy Par Business Kaise Kare?
Kisi Ke Sath Bhi Business Karne Se Pehle Aapko Uske Bare Me Puri Jaankari Honi Chahiye, So Sabse Pehle Hum Swiggy Ke Bare Me Thoda Jaante Hai Ki Iski Shuruwat Kisne Ki Aur Iske Piche Ka Idea Kya Tha.
Swiggy Ki Shuruwat Kaise Hui?
2013 Me Do Dost Jo Aaj Swiggy Ke Founder Hai Sriharsha Majety Aur Nandan Reddy Jinhone Ek E-Commerce Website Bundl Design Ki Thi Jisse Wo India Me Courier Service Provide Karwate The, Jo Jyda Accha Nahi Chal Rhi Thi. To 2014 Me Us Time Online Food Delivery Sector Me Kai Bade Startups Jaise – Zomato, Food Panda, Ola Cafe Struggle Kar Rahe The.
Us Time Sriharsha Aur Nandan Apne Dost Rahul Jaimini Ke Pass Pahuche Kyoki In Teeno Ne Ek Sath Us Time Kharagpur IIT Se Apni Padhayi Puri Ki Thi To Inke Pass Swiggy Ko Shuru Karne Ka Idea Aaya Aur Inhone Uspar Kaam Karna Bhi Shuru Kar Diya Aur Isi Ke Sath 2014 Me Bengaluru Me Swiggy Ki Shuruwat Hui.
Starting Me Rahul Jaimini Ne Only 25 Restaurants Ke Sath Swiggy Ki Shuruwat Ki Thi Jiske Liye Inke Pass Food Deliver Karne Ke Liye Sirf 6 Delivery Boy The. Par Aage Aage Inki Services Logo Ko Pasand Aana Shuru Ho Gyi Aur Kai Bade Investors Ne Bhi Inhe Funding Dena Shuru Kar Diya. Jiske Madad Se Aaj Ke Time Me Swiggy Ki Networth Lagbhag 2000+ Crore Hai.
Aaj Ke Time Me Lakho Log Swiggy Ke Sath Jud Kar Apne Business Ko Aage Ki Taraf Le Kar Jaa Rahe Hai. To Chaliye Ab Jaante Hai Ki Swiggy Ke Sath Business Karne Ke Liye Aapko Kya-Kya Chij Chahiye.
Swiggy Par Business Karne Ke Liye Kya Chahiye?
- Agar Aap Swiggy Ke Sath Business Karna Chahte Hai To Uske Liye Aapke Pass Khud Ka Restaurant Yaa Cafe Hona Chahiye.
- Aapke Pass Agar Restaurant Nahi Hai To Aap Swiggy Me Delivery Boy Ka Kaam Karke Bhi Paise Kama Sakte Hai.
Agar Aapka Koi Bhi Chota Restaurant Yaa Cafe Hai Jisme Abhi Jyda Log Nahi Aa Rahe To Aap Apne Restaurant Ko Swiggy Ke Sath Jod Ke Apne Business Ko Kafi Aage Tak Lekar Jaa Sakte Hai.
Swiggy Ke Sath Business Karne Ke Benefits
- Sabse Pehle Aapke City Me Jitne Bhi Log Hai Jo Swiggy Use Karte Hai, Wo Sabhi Aapke Restaurant Se Bhi Online Food Order Kar Sakenge. Jisse Aapki Sales Increase Hogi.
- Isse Aapke Restaurant Ki Popularity Bhi Increase Hogi Because Aapke Restaurant Ko Sabhi Dekh Paayenge Online Bina Kahi Jaaye.
- Aap Chahe Ghar Se Bhi Apne Restaurant Ko Chala Sakte Hai, Jisse Aapke Bahut Paise Save Honge.
- Aapko Apne Restaurant Ki Kisi Bhi Tarah Ki Promotion Karne Ki Jarurt Nahi, Because Yeh Sabhi Kaam Swiggy Ka Hota Hai And Swiggy Ka Promotion Budget Har Saal Crore’s Ka Me Chale Jaata Hai.
In Benefits Ke Sath Chaliye Ab Hum Jaante Hai Ki Swiggy Par Apne Restaurant Ko Kaise Add Kare?
Swiggy Par Apna Restaurant Kaise List Kare?
Agar Aap Apne Cafe Yaa Restaurant Ko Swiggy Par List/Add Karke Uske Sath Business Karna Chahte Hai To First Aapke Pass Yeh Niche Diye Gaye Documents Hone Chahiye.
Swiggy Ke Sath Judne Ke Liye Required Chije
- Firstly Aapke Pass Koi Bhi Restaurant Yaa Cafe Hona Chahiye Agar Nahi Hai To Wo Aap Setup Kar Sakte Hai.
- Aapke Pass Food License Hona Chahiye Jo Governement Of India Se Approved Ho.
- Iske Sath Aapka Bank Account Aur Ek Cancel Cheque Bhi Hona Chahiye.
- Aapka Business Indian Government Ke Under Registered Ho.
Agar Aapke Pass Yeh Required Chije Hai To Aap Bahut Easily Apne Restaurant Ko Swiggy Par List Karke Apne Business Ko Bahut Aage Tak Lekar Jaa Sakte Ho. To Chaliye Ab Jaante Hai Ki Apne Restaurant Ko Swiggy Ke Sath Kaise Jode.
Steps : Swiggy Par Business (Restaurant) Kaise List Kare
- First Of All Aapko Swiggy Ke Partner With Us Page Par Jaana Hoga. Partner With Us Par Click Karke Aap Us Page Par Jaa Sakte Hai.
- Partner With Us Page Par Jaate Hi Aapko Let’s Go Ka Option Milega, Aap Uspe Click Kare.
- Then Aapke Saamne Ek Form Open Ho Jayega, Jaha Par Aapko Apni And Restaurant Ki Information Fill Karni Hogi. Agar Aapko Form Bharne Me Dikkat Aaye To Aap [email protected] Par “i want to partner my restaurant with swiggy” Email Likhkar Apply Kar Sakte Hai.
- Sabhi Information Fill Karne Ke Baad Aapko Swiggy Ki Taraf Se Confirmation Call Aayegi, Jiske Baad Wo Aapse Milkar Ek Contract Sign Karwayenge.
- Contract Sign Karne Se Pehle Uski Sabhi Terms & Condition’s Jarur Padhe.
So is Tarike Se Aap Bahut Easily Apne Restaurant Ko Swiggy Par List Karwakar, Apne Food Business Ko Badha Sakte Hai. To Chaliye Ab Hum Jaante Hai Ki Swiggy Par Business (Restaurant) List Karwane Ke Baad Aapko Kitna Profit Hota Hai.
Restaurant’s Swiggy Ko Kitna Commission Deti Hai? Aapko Kitna Profit Hoga?
Jab Aapka Restaurant Swiggy Par List Ho Jayega, Tab Aapko Online Order Aane Shuru Ho Jayenge Jispar Aapko Us Food Aur Uski Popularity Ke According Swiggy Ko Commission Dena Hoga. Ordinary 15-20% Ka Profit Commission Swiggy Ko Dena Hota Hai Aur Baki Ka Sara Profit Aapka Ho Jaata Hai. Jab Daily Ke Aapke Pass 50 Order Aane Shuru Ho Jaate Hai To Uspar Aapko koi Commission Nahi Dena Hota.
To Is Tarike Se Jab Aapke Pass Jayda Order’s Aate Hai To Aap Swiggy Ki Madad Se Jayda Paise Bhi Kamate Hai Aur Aapka Restaurant Bhi Profit Me Jaata Hai. Isi Business Model Ki Madad Se Aaj Ke Time Me Kai Restaurant’s Bahut Accha Paisa Kama Rahe Hai Aur Swiggy Bhi Paisa Kama Raha Hai Sath Me Customer’s Ko Bhi Bahut Acche Offer’s Mil Jaate Hai.
Kuch Dhyan Rakhne Wali Baate
Swiggy Par Restaurant Ko List Karne Se Pehle In Baato Ka Jarur Dhayan De
- Aapko Mile Term’s & Condition’s Page Ko Dhyan Se Padhe, Jab Aapko Lage Ki Yeh Term’s & Condition’s Mere Liye Sahi Hai Tabhi Sign Kare.
- Apne Food Menu Ko Soch Samjhkar Banaye
- Aap Apne Food Par Khud Kai Acche Discount’s Bhi Rakh Sakte Hai.
Conclusion
Is Article Me Aapne Seekha Ki Kaise Aap Swiggy Par Business Karke Jayda Paise Kama Sakte Hai. Agar Aapko Iske Regarding Koi Bhi Question Puchna Hai To Aap Niche Comment Box Me Puch Sakte Hai. Aaj Ke Time Me Jaha har Chij Online Ho Chuki Hai Wahi Aap Swiggy Ke Sath Apne Restaurant Ki Partnership Karke Is Digital World me Apne Business Ko Kafi Aage Tak Lekar Ja Sakte Hai.
FAQ
Swiggy Par Business (Restaurant) Ko Jodne Ke Baad Swiggy Ko Kitna Percent Commission Dena Hoga?
Swiggy Par Restaurant Ko Jodne Ke Liye Kitne Paise Lagenge?
Swiggy Par Paise Kitne Tarike Se Kamaya Jaa Sakta Hai?
Advertisement